Kamare me main kuch yu baithi hu
ki sang sath me hai sirf ye char diware,
Jo charo taraf se mujhe ghur rahi
mano enhe mujhase beintahaan mohabbat ho
aksar to mai hi ense bate kiya karti thi
par aaj pahali dafa ye batain kar rahi,
Ye dohara rahi hai har wo kisse
jise main bhula chuki hu
ye mujhe yad dila rahi hai
kaise main dosto ke sath ghanto batain kiya karati thi,
Chehare par na shikand hua karti thi
na hi kandho par koe bojh
bas hoti thi to wo khul kar hasne wali muskurahat
jo sayad aaj bhi en diwaron ke zariye zinda dikh rahi,
Ye yad dila rahi mujhe wo sari biti bat
jo kitani to mujhe yad bhi nahi
or kuch to kuch khas bhi nahi,
Khol rahi har wo raz mere jo maine sirf ese bataye the
mere anshu dika rahi meri nakamyabi bata rahi
kabhi mushkura rahi mujh par
to kabhi fakr se bahain faila rahi,
Ye diware aaj sach me bol rahi
sula diye jin lamho ko
phir se use jaga rahi
ye diware aaj sach me bol rahi.
Happy Reading !!
Comments
Post a Comment